Posts: 1,098
Threads: 12
Likes Received: 509 in 338 posts
Likes Given: 63
Joined: Dec 2024
Reputation:
15
Jasleen: Wahan kuch samay bitane ke baad hum sabhi wapas lautne lage.
Jungle ka rasta kaccha tha aur kuch jagahon par ghani jhaadiyan bhi thi. Mere sath ki Ladkiyon mein se kuch ne dhool se bachne ke liye apne muh par dupatta bandh rakha tha aur mene bhi..
Wapas aate waqt achanak jhaadiyon ke paas se ek bada sher nikal aaya.
Use dekhte hi sabhi ke hosh ud gaye. Hum Ladkiyan ghabrakar ek-doosre ke paas simat gayin. humare saath chal rahe chaaron ladkon ne bhi sher ko dekha.
Ek ladka: Sher! Bhaago!
Itna kehna tha ki chaaron ladke apni jaan bachakar wahan se bhaagne lage. Unhone ek baar bhi peeche mudkar hum ladkiyon ko sambhalne ki koshish nahi ki.
Hum Ladkiyan unhe awaaz deti reh gayin, lekin darr ke maare woh sab apni jaan bachane ke liye bhaag chuke the.
Sher dheere-dheere hum ladkiyon ki taraf badhne laga. Kuch ladkiyan peeche hatne lagi, jabki ek-do darr ke maare wahin khadi reh gayin.
Jasleen: Arey, koi kuch karo! Woh hamari taraf aa raha hai!
Lekin us waqt kisi ko samajh nahi aa raha tha ki kya karein.
Harjit Singh: Phir kyaa hua..
Main: Harjit Singh ji Ussi samay main paidal paidal jungle ke usi kacche raste se gaanv ki aur laut raha tha.
Harjit Singh: Tum jungle kyaa karne gaye the..
Main: Dadaji ne mujhe ghane jungle mein kuch khaas aushdhiyan laane ke liye bheja tha. Unhone mujhe bataya tha ki jungle ke andar ek purani jagah par kuch jadi-bootiyan mil sakti hain, jinhe woh pehle bhi istemal kar chuke the.
Harjit Singh: Aaushdhiyaa?
Dadaji: Meri ak gaay ke pairo me uss wakt kide lag rhe the, aur wo aaushdhi unn kido ko jad se marne, ghav ko kuchh hi dino me sukhane aur infection ko khatam karne me saksham hai..
Harjit: Achcha to aap pahalwani ke alawa ye sab bhi jante hai..
Dadaji: Haa thoda bahut..Jay tum aage batao, ye baat to tumne mujhe bhi nhi batayi..
Main: Aushdhiyan main apne saath lekar wapas aa rha tha gaanv ki taraf..
Mujhe achanak ladkiyon ke cheekhne ki awaaz sunai di.
Maine turant awaaz ki taraf dekha. Tabhi mujhe najar aaya, thodi door kuch ladkiyan ghabraayi hui khadi thi aur unke saamne ek sher tha.
Maine bina der kiye unki aur bhaga..
Main: Arey! Sab log ghabrao mat! Dheere-dheere peeche hato aur ek saath raho!
Meri awaaz sunkar ladkiyon ne meri taraf dekha. Unmein se kuch mujhe pehchanti nahi thi, lekin unke paas madad ke liye koi aur bhi nahi tha.
Maine pehle unhe sher se door hatne ka ishara kiya. Phir
zor se awaaz lagayi, taaki sher ka dhyan kuch pal ke liye unki taraf se hat sake.
Sher ne meri taraf dekha aur zor se dahaad lagayi.
........
Posts: 1,098
Threads: 12
Likes Received: 509 in 338 posts
Likes Given: 63
Joined: Dec 2024
Reputation:
15
Harjit Singh: Phir kyaa hai?
Main: Mere liye bhi woh pal aasaan nahi tha. Main jaanta tha ki sher ke saamne zara si laparwahi bhi jaanleva ho sakti hai. Isliye main uske kareeb jaane ke bajaye apni jagah se hi use ghurta rha aur ladkiyon ladkiyon ko सुरक्षित रास्ते की ओर जाने का इशारा करता रहा।
Main: Jaldi nahi! Ek-doosre ka haath pakdo aur peeche ki taraf hato!
Ladkiyan dheere-dheere ek saath peeche hatne lagi. Sher kuch pal meri taraf dekhta raha, aur phir wo meri aur bada aur mere karib aane laga..
Mene ladkiyo se kaha, jitni jaldi ho sake bhago gaanv ki taraf aur koi ranger najar aaye to use iss aur bhejna..
Gurmail Singh: Phir kyaa hua?
Jasleen: hum ladkiyan wahi murti ban kar khadi rahi, hum dar ke mare waha se hil bhi nhi paa rhe the.. Kyuki sher inke bahut karib pahuch chuka tha..
Baljit Kaur: Phir ye bacha kese uss sher se aur tum logo ko kese bachaya?
.....
Posts: 117
Threads: 0
Likes Received: 87 in 66 posts
Likes Given: 344
Joined: Aug 2026
Reputation:
1
Good Job waiting for next
(This post was last modified: 16-11-2026, 02:30 AM by
Skb21. Edited 1 time in total.)
Posts: 1,098
Threads: 12
Likes Received: 509 in 338 posts
Likes Given: 63
Joined: Dec 2024
Reputation:
15
Main: Jab wo meri aur aa rha tha, tabhi mene dekha ki uske pair me ak ladki ghusi huyi hai, jisne uske pair ko ghayal kiya hua hai..
Harjit Singh: Phir?
Dadaji: Phir kyaa Jay ne ak dawai chhidki hogi uss Sher ke Naak per..
Jasleen: Haa inhone bilkul yahi kiya tha.. wo sher kuchh der tak inko ghurta rha aur phir besudh ho gyaa..
Main: Maine use besudh kiya aur uske pair se wo lakdi savdhani se bahar nikali aur phir uske ghav per bhi wahi aaushdhi lagai jo me jungle me lene gyaa tha..
Ye karne ke baad hum usse dur ho gye aur gaanv ki aur aane lage..
Jasleen: Lakin
Baljit Kaur: Lakin?
Jasleen: Lakin wo sher fir uth gyaa..
Gurmail Singh: Ab to aur khunkhar ho gyaa hogaa?
Jasleen: Jab wo utha to inko ghurne laga...phir usne apna pair ko apni jibh se chant kar dekha aur langdate huye wo jhaadiyon ki taraf mud gaya. Lakin jaate huye bhi wo inko hi dekh rha tha..
Main: Jaise hi woh nazron se ojhal hua, maine ladkiyon ko bina rukke us jagah se gaanv ki aur ke aaya..
Harjit Singh: Tumne in sab se baat tak nhi ki, inse pucha nhi ki ye sab theek hai yaa nhi?
Jasleen: Puchha tha papa..
Main: Mene pucha tha, Tum sab theek ho? Kisi ko chot toh nahi lagi?
Ek ladki buri tarah dari hui thi. usne kaafi der tak mera hath hi nhi chhoda tha..
Dadaji: Wo jo bhi thi usne ise itna kas ke pakda tha ki iske hath per uski pakad ke nisan 2 din tak dikh rhe the..
Jasleen: Woh ladki Me thi.
Main: Fir kisi ne kaha ki tum sab theek hai..
...........
Phir kuchh der tak humari normal baat chit huyi..
Main: Sab pakka theek ho naa?
Jasleen: Ji... hum sab theek hain.
Main: Tum ladkiyan iss ghane jungle me akeli aayi thi?
Jasleen: Nhi 4 ladke aaye the humare sath..
Main: woh kahan hain?
Jasleen ne kuch pareshani ke saath jawab diya.
Jasleen: Sher ko dekhte hi woh sab bhaag gaye. Humein wahin chhodkar..
Maine uski baat sunkar kuch pal un sabki taraf dekha.
Main: Jungle mein aise raste par aana ho toh pehle se saavdhani rakhni chahiye. Jangli jaanwar kabhi bhi saamne aa sakte hain. Aur group mein aane ka matlab ye nahi hota ki khatra nahi hoga.
Jasleen ne dheere se haan mein sir hilaya.
Main: Abhi sab mere saath chalo. Main tum logon ko gaon ke muhane tak chhod deta hoon.
Kuch der baad jab humein laga ki khatra tal gaya hai, to mene inhe gaanv ki border tak chhod diya aur khud apne jungle wale khet me chala gyaa..
Us din ke baad maine is ghatna ko zyada yaad nahi rakha.
Mere liye toh woh bas ek aisi paristhiti thi, jismein kuch logon ki madad karna zaroori tha. Lekin Jasleen ke liye woh din bhoolna aasaan nahi tha.
Wapas vartamaan mein — Gurmail Singh ki haveli
Jasleen: Papa, us din inhone hum sabki bahut madad ki thi. Humare saath jo chaar ladke aaye the, woh toh sher ko dekhte hi bhaag gaye the. Agar ye samay par nahi pahunchte toh pata nahi humara kya hota. Main toh aaj tak inka shukriya bhi nahi keh paayi.
Main: Arey, ismein shukriya kaisa? Tum sab surakshit ghar pahunch gayi thi, mere liye wahi kaafi tha.
Gurmail Singh: Oye Jay puttar, tune toh ek ehsaan kar diya hum par.
Main: Singh sahab, aap mujhe sharminda kar rahe hain. Us waqt main wahan tha aur madad karna mera farz tha.
Jasleen meri baat sunkar muskurane lagi.
Baljit Kaur: Achha hua jo aaj ye baat pata chal gayi. Warna humein toh ye bhi nahi maloom tha ki hamari Jasleen ki jaan bachane wala ladka kaun tha.
Gurmail Singh ji ne mere kandhe par haath rakha.
Gurmail Singh: Jay puttar, ab toh tu hamare ghar aata-jaata rehna. Ye ghar tere liye bhi apna hi hai.
Main muskurakar unki taraf dekhne laga.
Main: Theek hai Singh Sahab, ab aagya chahenge..
.......
Posts: 1,098
Threads: 12
Likes Received: 509 in 338 posts
Likes Given: 63
Joined: Dec 2024
Reputation:
15
Gurmail Singh ji se vida lekar hum dono haveli se bahar nikal aaye. Main Dadaji ke saath aage badh raha tha, tabhi ek baar palatkar meri nazar Jasleen par padi.
Woh abhi bhi wahin khadi thi. Uski nazar mujh par hi tiki hui thi. Na usne palkein jhukaayi aur na hi apni muskurahat chhupane ki koshish ki. Uske chehre par ek alag hi khushi nazar aa rahi thi.
Maine kuch khaas dhyan nahi diya aur Dadaji ke saath aage badh gaya. Lekin Dadaji ki nazar se ye baat chhupi nahi.
**Ghar lautte waqt...**
Dadaji: Kyun bete, aaj toh lagta hai Gurmail ki poti se achhi pehchaan ho gayi hai teri!
Main: Aisa kuch nahi hai Dadaji.
Dadaji: Achha! Toh phir jab hum nikal rahe the, woh tujhe itni der tak kyun dekhti rahi? Uske chehre ki muskurahat bhi maine dekhi thi.
Main: Aap bhi na, Dadaji! Har baat ka kuch aur hi matlab nikal lete hain.
Dadaji (muskurate hue): Arey, main toh bas keh raha hoon. Mujhe toh lagta hai Gurmail ki poti tujh par fida ho gayi hai.
Main: Chhodiye na Dadaji! Yahan toh rehne ke laale padne wale hain. Dadi mujhe ghar se nikalne par tuli hui hain aur aapko ladki ki aankhon mein mere liye pyaar nazar aa raha hai!
...........
Posts: 5
Threads: 0
Likes Received: 4 in 2 posts
Likes Given: 0
Joined: Nov 2026
Reputation:
0
Bhai jitni young girls hai sab banna ki biwi bane or jeevan singh ke ghar pe banna sabko sex kare or sandhya ko bhi apni sath rakhe jab sahar jaaye ha bhai story me woh jo dost hai unki maa ko chaman ke sath sex or pakadwana mat banna hi seduce kare ye chaman ko kisi or ke sath pakad ke hatao story se baaki story bahut acchi hai update badhao yaar or ye village ki saari mahila chahe jeevan singh ke ghar ki or dusri isko khatam karke city le jao banna ko taaki waha uska buisness faile thoda dusmani or nayi ladkiya un dusmano ki
Posts: 1,098
Threads: 12
Likes Received: 509 in 338 posts
Likes Given: 63
Joined: Dec 2024
Reputation:
15
Ghar pahunchne ke baad main seedha apne kamre mein chala gaya. Subah se hui bhaag-daud aur thakaan ke baad ab mujhe aaram ki zaroorat thi. Main bistar par let gaya aur dekhte hi dekhte gehri neend mein chala gaya.
Karib teen-chaar ghante baad meri aankh khuli. Dopahar ka waqt tha. Main abhi bistar par hi aaram kar raha tha ki achanak mere mobile par ek unknown number se call aane lagi.
Maine phone uthaya.
Main: Hello?
Parneet: Tum samajhte kya ho apne aap ko? Tumhari himmat kaise hui mere papa aur unke chhe aadmiyon ki ye haalat karne ki?
Uski awaaz mein gussa saaf jhalak raha tha. Bina mera jawab sune hi woh mujh par barasne lagi.
Main: Ek minute! Tum ho kaun? Aur mujhse is tarah baat kyun kar rahi ho?
Parneet: Pehle mere sawaal ka jawab do! Tumne mere papa aur unke aadmiyon ke saath jo kiya, uska hisaab kaun dega?
Main: Dekho, tumhare papa ko toh maine koi sharirik chot bhi nahi pahunchayi hai. Phir tum mujhse kyun lad rahi ho? Aur sabse pehle ye batao ki tum ho kaun?
Darasal, ye call Jaswant Singh ki beti Parneet ka tha.
Hua yun tha ki Jaswant Singh ki badi beti Vandana mujhse baat karna chahti hai, Iske liye use mera mobile number chahiye tha. Use pata chala tha ki mera number Parneet ke mama Sukhvinder Singh Badal ke mobile mein maujood hai.
Vandana ne Parneet se mera number maanga aur kaha ki woh mujhe sabak sikhana chahti hai. Parneet ne apne mama ke phone se mera number nikaal kar Vandana ko de diya.
Lekin number dene bhar se uska gussa shaant nahi hua. Usne khud bhi mujhe phone lagaya aur mujh par apni bhadaas nikaalne lagi.
Mujhe abhi tak samajh nahi aa raha tha ki phone par itne gusse se baat karne wali
ye ladki aakhir thi kaun.
.........
Posts: 1,098
Threads: 12
Likes Received: 509 in 338 posts
Likes Given: 63
Joined: Dec 2024
Reputation:
15
Main: Ek baat batao, kya tum jaanti ho ki tumhare papa ne kitni zindagiyan barbaad ki hain?
Parneet: Mere papa ne aisa kuch nahi kiya hai! Tum unke baare mein kuch bhi kaise bol sakte ho?
Main: Itna hi bharosa hai apne papa par? Agar himmat hai toh apne parivaar se milne apne dadaji ke gaon aao. Khud apni aankhon se dekhna ki tumhare pita ne us parivaar ki kya haalat kar rakhi hai.
Parneet: Tum khud ko sahi saabit karne ke liye kuch bhi kahani bana rahe ho. Mujhe tumhari baaton par bilkul yakeen nahi hai.
Main: Kahani nahi bata raha hoon. Tumhara baap ek number ka harami aadmi hai. Meri baat par vishwas nahi hota toh apni maa se pooch lena. Woh tumhe sach bata sakti hain.
Parneet: Apni zubaan sambhalkar baat karo! Tum mere papa ke baare mein kuch bhi bol rahe ho. Mere maa-papa ke beech bahut pyaar hai. Tum unke rishte ko lekar jhoothi baatein mat banao.
Main: Achha? Toh phir kabhi apni maa se akele mein baithkar poochna. Ho sakta hai tumhe apne parivaar ke baare mein woh sach pata chale, jiske baare mein tumhe aaj tak kuch bataya hi nahi gaya.
Posts: 5
Threads: 0
Likes Received: 4 in 2 posts
Likes Given: 0
Joined: Nov 2026
Reputation:
0
Story achin hai update jada nikalo bhai
Posts: 1,098
Threads: 12
Likes Received: 509 in 338 posts
Likes Given: 63
Joined: Dec 2024
Reputation:
15
Parneet ne gusse mein bina meri baat poori sune hi phone kaat diya.
Main kuch der mobile haath mein liye baitha raha. Mere dimaag mein bas ek hi sawaal ghoom raha tha ki aakhir mera number Parneet ke paas pahuncha kaise?
Mera number Jaswant ki family me toh sirf Sukhvinder Singh ke paas tha. Maine apna number unke alawa kisi ko diya hi nahi tha.
Mujhe laga ki is baare mein seedhe Sukhvinder se hi baat karni chahiye. Maine turant unka number milaya.
Sukhvinder: Haan ji, Jay..
Main: Kya haal hai, Sukhvinder Singh ji?
Sukhvinder: Badiya hi hai, Jay. Tum sunao, kaise ho?
Main: Main bhi theek hoon. Achha, ek baat bataiye, un chhe logon ki tabiyat kaisi hai..
Sukhvinder: Haan, Badiya hai. Sabka ilaaj chal raha hai. Kuch ki haalat pehle se behtar hai, lekin abhi kuch din hospital mein rehna padega.
Main: Achha, matlab sabka ilaaj theek se chal raha hai?
Sukhvinder: Haan, Jay. Tumne jo phone lagwaya tha, usse bahut behtar ilaj hua hai..
Main: Theek hai. Unka dhyan rakhiyega. Maine unhe bade govt hospital isliye bhijwaya tha taaki unka sahi ilaaj ho sake.
Sukhvinder: Haa, bilkul waisa hi ho rha hai, Jay.
Kuch pal rukne ke baad maine apni asli baat chhed di.
Main: Achha Sukhvinder Singh ji, ek baat aur poochhni thi aapse.
Sukhvinder: Haan, bolo.
Main: Mera mobile number aapke phone se aapki bhatiji Parneet ke paas kaise pahunch gaya?
Sukhvinder: Kya? Parneet ke paas tumhara number hai?
Main: Sirf number hi nahi hai, madam ne mujhe phone karke achha-khaasa suna bhi diya hai. Ab aap bataiye, aapke phone mein mera number kisne nikala?
Sukhvinder: Arre, mujhe toh is baare mein kuch pata hi nahi hai, Jay.
Main: Dekhiye, Sukhvinder ji. ye apke liye bada hanikarak hai.. Agar ye baat jaswant ko pata chali to mamla bigad sakta hai..
.....